(Hindi (language) poem...)
samundar ka kinara bhi akela maloom deta hai....
baar baar badhta jaroor
hai jameen ki or magr naa jane
kya sochta hai
ki
fir se bapis chala jata hai
apni gehraiyo me khone ko...
lagta hai...
lagta hai...
hai usko b intezzar kisi ki aahat ka...
shor to machata hai din bhar,
lekin raat ko wo bhi bechara
sa lagta hai... toota hua sa...
bejaan sa patthar maloom deta hai
magar fir se mashgool ho jata hai
apni gehraiyo ko naapne k liye..
to kabhi kabhi poonam ki raat ko
paagal sa hua lagta hai maano uske
sabar ki seemyaein toot gayi hain
kisi parwaane ki tarah sab kuchh khatam
kar dena
un heere motiyo ko...
jawahraato ko...jisse usne apne aashiyaane
ko sajaaya tha...
kisi k aane ki aas me
kisi se milne ki aas me..
...
Exclusively By Nikhil
No comments:
Post a Comment